tasawwur ko jaga rakkha hai usne
tasavvur ko jagā rakkhā hai us ne
darīcha niim vā rakkhā hai us ne
zarā sā phuul mere baaġh meñ hai
bahut kuchh māvarā rakkhā hai us ne
binā dekhe gavāhī māñgtā hai
savāl apnā judā rakkhā hai us ne
mire hone se ḳhud merā ta.alluq
ba-rañg-e-intihā rakkhā hai us ne
miTā detā hai har tasvīr merī
mujhe apnā banā rakkhā hai us ne
hamārī pyaas qatroñ meñ likhī hai
magar dariyā bahā rakkhā hai us ne
ye sūraj chāñd tāroñ kā zamāna
bas ik lamha jalā rakkhā hai us ne
banāvaT barmalā phūloñ kī sūrat
ki ḳhushbū ko chhupā rakkhā hai us ne
khaḌī hai raah roke ḳhud-farebī
mujhe vāpas bulā rakkhā hai us ne
havā kā hai na paanī kā karishma
nafas ko ḳhud jalā rakkhā hai us ne
mujhe be-nām kar detā hai 'ahmad'
ki naam apnā ḳhudā rakkhā hai us ne
tasawwur ko jaga rakkha hai us ne
daricha nim wa rakkha hai us ne
zara sa phul mere bagh mein hai
bahut kuchh mawara rakkha hai us ne
bina dekhe gawahi mangta hai
sawal apna juda rakkha hai us ne
mere hone se KHud mera talluq
ba-rang-e-intiha rakkha hai us ne
miTa deta hai har taswir meri
mujhe apna bana rakkha hai us ne
hamari pyas qatron mein likhi hai
magar dariya baha rakkha hai us ne
ye suraj chand taron ka zamana
bas ek lamha jala rakkha hai us ne
banawaT barmala phulon ki surat
ki KHushbu ko chhupa rakkha hai us ne
khaDi hai rah roke KHud-farebi
mujhe wapas bula rakkha hai us ne
hawa ka hai na pani ka karishma
nafas ko KHud jala rakkha hai us ne
mujhe be-nam kar deta hai 'ahmad'
ki nam apna KHuda rakkha hai us ne
- Book : Salsal (Pg. 122)
- Author : Ahmad Shanas
- Publication : Rahbar Book Service (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.