tasawwur mein bahut kin anjuman-araiyan humne
tasavvur meñ bahut kiiñ anjuman-ārā.iyāñ ham ne
salīqe se guzārīñ is tarah tanhā.iyāñ ham ne
ajab kyā hai jo tum ne vaqt kī añgḌā.iyāñ dekhīñ
badal Daalī haiñ aksar vaqt kī añgḌā.iyāñ ham ne
vahīñ par aaj shor-e-nāla-o-shevan bapā dekhā
jahāñ dekhī thiiñ kal bajtī huī shahnā.iyāñ ham ne
hazāroñ kulfateñ thiiñ zindagī kī raah meñ lekin
na paḌne diiñ ġham-o-ālām kī parchhā.iyāñ ham ne
'habāb' is daur-e-pur-āshob meñ qadr-e-hunar kyā ho
samo kar garche rakh diiñ sher meñ gahrā.iyāñ ham ne
tasawwur mein bahut kin anjuman-araiyan hum ne
saliqe se guzarin is tarah tanhaiyan hum ne
ajab kya hai jo tum ne waqt ki angDaiyan dekhin
badal Dali hain aksar waqt ki angDaiyan hum ne
wahin par aaj shor-e-nala-o-shewan bapa dekha
jahan dekhi thin kal bajti hui shahnaiyan hum ne
hazaron kulfaten thin zindagi ki rah mein lekin
na paDne din gham-o-alam ki parchhaiyan hum ne
'habab' is daur-e-pur-ashob mein qadr-e-hunar kya ho
samo kar garche rakh din sher mein gahraiyan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.