tasawwur mein mere aise koi chehra nikalta hai
tasavvur meñ mire aise koī chehra nikaltā hai
ki sūkhī shāḳh par jaise harā patta nikaltā hai
farishte ghar kī chaukhaT par khaḌe rahte haiñ saf bāñdhe
ki jab schōl ko ghar se koī bachcha nikaltā hai
zamīñ bhī jaise merā imtihāñ lene ke dar pai hai
jidhar paañv baḌhātā huuñ udhar sahrā nikaltā hai
haqīqat un kī jo bhī ho aqīda hai yahī apnā
inhīñ ḳhvāboñ se manzil ke liye rasta nikaltā hai
safar sūraj kā mujh ko jab kabhī darpesh aa jaa.e
to merā ham-safar ban kar mirā saaya nikaltā hai
karegī manfa.at hāsil isī se fasl-e-mustaqbil
hamārī zaat se jo ye suḳhan dariyā nikaltā hai
mujhe merī nazar meñ mo'atabar kartā hai vo paiham
mirā dushman mire haq meñ sadā sachchā nikaltā hai
hamārī pyaas sachchī hai ham ismā.īl vaale haiñ
jahāñ eḌī ragaḌ deñ ham vahīñ dariyā nikaltā hai
zalīl-o-ḳhvār hote haiñ 'obaid'-e-bā-ḳhabar logo
mohabbat kā magar sar se kahāñ saudā nikaltā hai
tasawwur mein mere aise koi chehra nikalta hai
ki sukhi shaKH par jaise hara patta nikalta hai
farishte ghar ki chaukhaT par khaDe rahte hain saf bandhe
ki jab school ko ghar se koi bachcha nikalta hai
zamin bhi jaise mera imtihan lene ke dar pai hai
jidhar panw baDhata hun udhar sahra nikalta hai
haqiqat un ki jo bhi ho aqida hai yahi apna
inhin KHwabon se manzil ke liye rasta nikalta hai
safar suraj ka mujh ko jab kabhi darpesh aa jae
to mera ham-safar ban kar mera saya nikalta hai
karegi manfat hasil isi se fasl-e-mustaqbil
hamari zat se jo ye suKHan dariya nikalta hai
mujhe meri nazar mein mo'atabar karta hai wo paiham
mera dushman mere haq mein sada sachcha nikalta hai
hamari pyas sachchi hai hum ismail wale hain
jahan eDi ragaD den hum wahin dariya nikalta hai
zalil-o-KHwar hote hain 'obaid'-e-ba-KHabar logo
mohabbat ka magar sar se kahan sauda nikalta hai
- Book : سخن دریا (Pg. 52)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.