tasawwuraat ke KHakon mein tera ang bhare
tasawwuraat ke KHakon mein tera ang bhare
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
tasavvurāt ke ḳhākoñ meñ terā añg bhare
kabhī musavvir-e-hastī kuchh aisā rañg bhare
chamak uThe mire ḳhvāb-o-ḳhayāl kī duniyā
yuuñ merī zaat meñ jalvoñ ke jal-tarañg bhare
ḳhayāl-e-sūd-o-ziyāñ phir na ho mohabbat meñ
tirī nigāh kabhī dil meñ vo umañg bhare
Thahar na jaa.e kahīñ aaj phir se nabz-e-hayāt
pilā vo jaam ki jo ḳhvāhishoñ meñ jañg bhare
surūr de vo ki ho vajd meñ junūñ raqsāñ
to saaz chheḌ kabhī aise bhī tarañg bhare
palaT ke vaar bhī karte kamīn-gāh pe kyā
hameñ to tiir hī baḳhshe ga.e haiñ zañg bhare
ba-tarz-e-nau liyā jaa.e phir imtihān-e-dil
gulāb shāḳh pe khilne lageñ jo sañg bhare
hayāt-e-nau hī kare jumbisheñ atā un ko
nazar se jaam pilā.e ga.e jo bhañg bhare
bhaTak na jaa.eñ agar ham to kyā kareñ 'ḳhāvar'
jamāl-e-yār ke raste haiñ jab surañg bhare
tasawwuraat ke KHakon mein tera ang bhare
kabhi musawwir-e-hasti kuchh aisa rang bhare
chamak uThe mere KHwab-o-KHayal ki duniya
yun meri zat mein jalwon ke jal-tarang bhare
KHayal-e-sud-o-ziyan phir na ho mohabbat mein
teri nigah kabhi dil mein wo umang bhare
Thahar na jae kahin aaj phir se nabz-e-hayat
pila wo jam ki jo KHwahishon mein jang bhare
surur de wo ki ho wajd mein junun raqsan
to saz chheD kabhi aise bhi tarang bhare
palaT ke war bhi karte kamin-gah pe kya
hamein to tir hi baKHshe gae hain zang bhare
ba-tarz-e-nau liya jae phir imtihan-e-dil
gulab shaKH pe khilne lagen jo sang bhare
hayat-e-nau hi kare jumbishen ata un ko
nazar se jam pilae gae jo bhang bhare
bhaTak na jaen agar hum to kya karen 'KHawar'
jamal-e-yar ke raste hain jab surang bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.