tasawwuraat ki duniya basa raha hun main
tasavvurāt kī duniyā basā rahā huuñ maiñ
tire ḳhayāl se taskīn pā rahā huuñ maiñ
ḳhayāl-o-vahm se ūñchī bahut hai terī zaat
tirī sifāt kā naqsha jamā rahā huuñ maiñ
mirā vajūd bhī partav hai terī hastī kā
dil-e-hazīñ meñ tirā nuur pā rahā huuñ maiñ
ye kaun hai ki ma.ayyat kā lutf hāsil hai
tamām ālam-e-imkāñ pe chhā rahā huuñ maiñ
tire karam kī nihāyat nahīñ mire mālik
ki musht-e-ḳhāk ko kundan banā rahā huuñ maiñ
jilau meñ jis kī ho amn-o-sukūñ kī gul-pāshī
vo inqalāb zamāne meñ lā rahā huuñ maiñ
tire kalām-e-muqaddas se raushnī le kar
añdherī raat meñ sham.eñ jalā rahā huuñ maiñ
mirī bisāt hī kyā hai jahāñ ke rakhvāle
tire sahāre pe himmat dikhā rahā huuñ maiñ
tasawwuraat ki duniya basa raha hun main
tere KHayal se taskin pa raha hun main
KHayal-o-wahm se unchi bahut hai teri zat
teri sifat ka naqsha jama raha hun main
mera wajud bhi partaw hai teri hasti ka
dil-e-hazin mein tera nur pa raha hun main
ye kaun hai ki mayyat ka lutf hasil hai
tamam aalam-e-imkan pe chha raha hun main
tere karam ki nihayat nahin mere malik
ki musht-e-KHak ko kundan bana raha hun main
jilau mein jis ki ho amn-o-sukun ki gul-pashi
wo inqalab zamane mein la raha hun main
tere kalam-e-muqaddas se raushni le kar
andheri raat mein shamen jala raha hun main
meri bisat hi kya hai jahan ke rakhwale
tere sahaare pe himmat dikha raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.