tasawwuraat ki duniya basae baiTha hun
tasavvurāt kī duniyā basā.e baiThā huuñ
ḳhazīna-hā-e-mohabbat luTā.e baiThā huuñ
tasavvurāt kī duniyā meñ mahv huuñ itnā
ki apne aap ko dil se bhulā.e baiThā huuñ
kisī hasīn kā chehra hai sāmne mere
usī ko qibla-o-ka.aba banā.e baiThā huuñ
maiñ mai-kade kī bahāroñ ko dekh kar saaqī
kisī ke nashshe pe nazreñ jamā.e baiThā huuñ
tumhāre va.ada-e-fardā pe e.atibār nahīñ
magar umiid kī sham.eñ jalā.e baiThā huuñ
bhaTak gayā huuñ magar rāsta na pūchhūñgā
ajiib zid hai ki dil meñ biThā.e baiThā huuñ
safīna Duub rahā hai magar ḳhudā se nahīñ
maiñ nāḳhudā se umīdeñ lagā.e baiThā huuñ
pahuñch hī jā.ūñgā manzil pe ek din 'sādiq'
agarche naqsh-e-kaf-e-pā miTā.e baiThā huuñ
tasawwuraat ki duniya basae baiTha hun
KHazina-ha-e-mohabbat luTae baiTha hun
tasawwuraat ki duniya mein mahw hun itna
ki apne aap ko dil se bhulae baiTha hun
kisi hasin ka chehra hai samne mere
usi ko qibla-o-kaba banae baiTha hun
main mai-kade ki bahaaron ko dekh kar saqi
kisi ke nashshe pe nazren jamae baiTha hun
tumhaare wada-e-farda pe eatibar nahin
magar umid ki shamen jalae baiTha hun
bhaTak gaya hun magar rasta na puchhunga
ajib zid hai ki dil mein biThae baiTha hun
safina Dub raha hai magar KHuda se nahin
main naKHuda se umiden lagae baiTha hun
pahunch hi jaunga manzil pe ek din 'sadiq'
agarche naqsh-e-kaf-e-pa miTae baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.