tasawwuraat mein chehra tera banata hun
tasavvurāt meñ chehra tirā banātā huuñ
isī bahāne tire paas baiTh jaatā huuñ
yuuñ to zamāna bhī vāqif hai mere tevar se
par ik nigāh hai jis se maiñ ḳhauf khātā huuñ
tamām 'umr isī intizār meñ guzrī
vo bol kar gayā thā tum ruko maiñ aatā huuñ
na jaane kaisā 'ajab rog paal rakkhā hai
ḳhushī meñ rotā huuñ aur ġham meñ muskurātā huuñ
phir ek din mirā duniyā se kyā yaqīn uThā
maiñ tab se har kisī kā fā.eda uThātā huuñ
ġhazal kā zā.iqa baḌhnā to lāzmī hai 'harsh'
har ek she'r meñ apnā lahū jalātā huuñ
tasawwuraat mein chehra tera banata hun
isi bahane tere pas baiTh jata hun
yun to zamana bhi waqif hai mere tewar se
par ek nigah hai jis se main KHauf khata hun
tamam 'umr isi intizar mein guzri
wo bol kar gaya tha tum ruko main aata hun
na jaane kaisa 'ajab rog pal rakkha hai
KHushi mein rota hun aur gham mein muskuraata hun
phir ek din mera duniya se kya yaqin uTha
main tab se har kisi ka faeda uThata hun
ghazal ka zaiqa baDhna to lazmi hai 'harsh'
har ek she'r mein apna lahu jalata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.