tasawwuraat mein dil ki uDan dekh zara
tasavvurāt meñ dil kī uḌaan dekh zarā
usī zamīñ se kabhī āsmān dekh zarā
abhī to jism ke hī ghaav tū ne dekhe haiñ
jo mere dil pe haiñ vo bhī nishān dekh zarā
tū is se pahle kareñ baat ġhair sanjīda
mirā mizāj mire qadr-dān dekh zarā
dhuāñ bhī ho gayā ab to fazāoñ se ġhā.eb
kahāñ hai shahr meñ merā makān dekh zarā
haqīr nazroñ se ai mujh ko dekhne vaale
mirā gharānā mirā ḳhāndān dekh zarā
zamīn phaTne kā kartī huuñ intizār 'siyā'
mirā junūn mire imtihān dekh zarā
tasawwuraat mein dil ki uDan dekh zara
usi zamin se kabhi aasman dekh zara
abhi to jism ke hi ghaw tu ne dekhe hain
jo mere dil pe hain wo bhi nishan dekh zara
tu is se pahle karen baat ghair sanjida
mera mizaj mere qadr-dan dekh zara
dhuan bhi ho gaya ab to fazaon se ghaeb
kahan hai shahr mein mera makan dekh zara
haqir nazron se ai mujh ko dekhne wale
mera gharana mera KHandan dekh zara
zamin phaTne ka karti hun intizar 'siya'
mera junun mere imtihan dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.