tasbih un ke nam ki paDhte hain aam KHas
tasbīh un ke naam kī paḌhte haiñ aam ḳhaas
rām-o-rahīm donoñ isī ke haiñ naam ḳhaas
apnā sā dil samajh ke kisī kā na toḌ dil
kahte haiñ is ko hai ye ḳhudā kā maqām ḳhaas
maiñ to burā nahīñ huuñ muqaddar burā sahī
lete haiñ kyoñ burā.ī se merā vo naam ḳhaas
jis ko vo chāhte haiñ vo achchhā hai har tarah
kuchh chiiz zāt-pāt na taḳhsīs-e-ām ḳhaas
sargoshiyāñ raqīb se kartā thā nāma-bar
us fitna-gar ne bhejā hai koī payām ḳhaas
va.ade pe rah na us but-e-vā'da-ḳhilāf ke
ai dil tū kar ke baiThā hai kyoñ intizām ḳhaas
har kaam apne qaabū talab karnā chāhiye
Daale ḳhudā kisī se bhī koī na kaam ḳhaas
har sher terā qābil-e-tārīf hai 'atā'
islāhī shaan rakhtā hai terā kalām ḳhaas
tasbih un ke nam ki paDhte hain aam KHas
ram-o-rahim donon isi ke hain nam KHas
apna sa dil samajh ke kisi ka na toD dil
kahte hain is ko hai ye KHuda ka maqam KHas
main to bura nahin hun muqaddar bura sahi
lete hain kyon burai se mera wo nam KHas
jis ko wo chahte hain wo achchha hai har tarah
kuchh chiz zat-pat na taKHsis-e-am KHas
sargoshiyan raqib se karta tha nama-bar
us fitna-gar ne bheja hai koi payam KHas
wade pe rah na us but-e-wa'da-KHilaf ke
ai dil tu kar ke baiTha hai kyon intizam KHas
har kaam apne qabu talab karna chahiye
Dale KHuda kisi se bhi koi na kaam KHas
har sher tera qabil-e-tarif hai 'ata'
islahi shan rakhta hai tera kalam KHas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.