tashrif shab ko lana kyon aar jaante hain
tashrīf shab ko laanā kyoñ aar jānte haiñ
shāyad ki aap ham ko bad-kār jānte haiñ
zulfoñ ke pech meñ ham go jānte nahīñ kuchh
par sar paTak ke apnā man maar jānte haiñ
vahshat meñ jo jo ham ne pathroñ se sar ko maarā
sahrā meñ jā ke pūchho kohsār jānte haiñ
afsos jin kī ḳhātir yuuñ ḳhalq meñ subuk haiñ
ḳhātir kā apnī ham ko vo yaar jānte haiñ
ye bhī nasīb-o-qismat gul khaa.e jin ke ġham meñ
mahfil kā apnī ham ko vo ḳhaar jānte haiñ
mutlaq nahīñ hai parvā sair-e-chaman kī 'ishrat'
ham dāġh-e-dil ko apne gulzār jānte haiñ
tashrif shab ko lana kyon aar jaante hain
shayad ki aap hum ko bad-kar jaante hain
zulfon ke pech mein hum go jaante nahin kuchh
par sar paTak ke apna man mar jaante hain
wahshat mein jo jo hum ne pathron se sar ko mara
sahra mein ja ke puchho kohsar jaante hain
afsos jin ki KHatir yun KHalq mein subuk hain
KHatir ka apni hum ko wo yar jaante hain
ye bhi nasib-o-qismat gul khae jin ke gham mein
mahfil ka apni hum ko wo KHar jaante hain
mutlaq nahin hai parwa sair-e-chaman ki 'ishrat'
hum dagh-e-dil ko apne gulzar jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.