tashwish na kije ye nazriyat to honge
tashvīsh na kiije ye nazriyāt to hoñge
ḳhadshāt kā mausam hai savālāt to hoñge
har qalb-o-nigah meñ ye tazādāt to hoñge
duniyā-e-ajā.ib meñ kamālāt to hoñge
ab hañs ke dikhāo to baḌā zarf tumhārā
apnoñ se lagī choT to sadmāt to hoñge
tardīd-o-taraddud ke vasā.il nikal aa.e
tum mil nahīñ sakte to ye jazbāt to hoñge
derīna rivāyāt pe de kaun tavajjoh
ye daur nayā hai na.e hālāt to hoñge
yūñhī nahīñ hotā hai pareshān 'musavvir'
kuchh aib-o-hunar zer-e-samāvāt to hoñge
tashwish na kije ye nazriyat to honge
KHadshat ka mausam hai sawalat to honge
har qalb-o-nigah mein ye tazadat to honge
duniya-e-ajaib mein kamalat to honge
ab hans ke dikhao to baDa zarf tumhaara
apnon se lagi choT to sadmat to honge
tardid-o-taraddud ke wasail nikal aae
tum mil nahin sakte to ye jazbaat to honge
derina riwayat pe de kaun tawajjoh
ye daur naya hai nae haalat to honge
yunhi nahin hota hai pareshan 'musawwir'
kuchh aib-o-hunar zer-e-samawat to honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.