taskin-e-dil jo pae to phir iztirab kya
taskīn-e-dil jo paa.e to phir iztirāb kyā
mujh ko pata nahīñ ki gunah kyā savāb kyā
taqdīs-e-ishq par na koī harf aa sake
bhaTke jo raah se to phir aisā shabāb kyā
ham jaam ke asiir nahīñ ġhaur se ye sun
āñkhoñ se pī na jaa.e to phir vo sharāb kyā
vo sāmne haiñ aur zabāñ hai mirī ḳhamosh
nīchī nigāh meñ haiñ savāl-o-javāb kyā
ātish se josh-e-ishq kī ho soḳhta-jigar
lazzat mile na ġhair ko aisā kabāb kyā
taskin-e-dil jo pae to phir iztirab kya
mujh ko pata nahin ki gunah kya sawab kya
taqdis-e-ishq par na koi harf aa sake
bhaTke jo rah se to phir aisa shabab kya
hum jam ke asir nahin ghaur se ye sun
aankhon se pi na jae to phir wo sharab kya
wo samne hain aur zaban hai meri KHamosh
nichi nigah mein hain sawal-o-jawab kya
aatish se josh-e-ishq ki ho soKHta-jigar
lazzat mile na ghair ko aisa kabab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.