taskin-e-marg bhul gaya iztirab mein
taskīn-e-marg bhuul gayā iztirāb meñ
allāh paḌ gayā mirā dil kis azaab meñ
allāh re faroġh ruḳh-e-barq-tāb meñ
mastī meñ hai shabāb ki mastī shabāb meñ
ai dast-e-shauq aaj vo aa.e haiñ ḳhvāb meñ
dāman na chhūT jaa.e kahīñ iztirāb meñ
har naqsha-e-ḳhayāl banā aur miT gayā
ummīd ab kahāñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
jūyā-e-aish-o-tālib-e-rāhat nahīñ huuñ
ik lutf aa rahā hai mujhe is azaab meñ
begāna-e-firāq huuñ ummīd-o-yās se
ik kashmakash hai is dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
betābi-e-firāq kā aalam na pūchhiye
dāmān-e-zabt bhī hai kaf-e-iztirāb meñ
taskin-e-marg bhul gaya iztirab mein
allah paD gaya mera dil kis azab mein
allah re farogh ruKH-e-barq-tab mein
masti mein hai shabab ki masti shabab mein
ai dast-e-shauq aaj wo aae hain KHwab mein
daman na chhuT jae kahin iztirab mein
har naqsha-e-KHayal bana aur miT gaya
ummid ab kahan dil-e-KHana-KHarab mein
juya-e-aish-o-talib-e-rahat nahin hun
ek lutf aa raha hai mujhe is azab mein
begana-e-firaq hun ummid-o-yas se
ek kashmakash hai is dil-e-KHana-KHarab mein
betabi-e-firaq ka aalam na puchhiye
daman-e-zabt bhi hai kaf-e-iztirab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.