taskin-o-rahm se na to lafz-e-dua se thi
taskīn-o-rahm se na to lafz-e-duā se thī
jo ham gunāhgāroñ ko kār-e-sazā se thī
us se bichhaḌ rahā huuñ to kyoñ ro rahā huuñ maiñ
is baat kī ḳhabar to mujhe ibtidā se thī
ab ke bachā sakī na mirī ḳhāmushī mujhe
is baar merī jañg kisī ham-navā se thī
dushman hī ek ahl-e-vafā chāhte the ham
hālāñki dostī to har ik bevafā se thī
ham ne bhī bār-e-ġham ko muqaddar samajh liyā
kuchh roz tak hameñ bhī shikāyat ḳhudā se thī
jis ke taġhāfuloñ ke the charche tamām shahr
apnī bhī to murād usī bevafā se thī
hijr-o-visāl donoñ hī shartoñ meñ tai thī maut
ham the charāġh ham ko mohabbat havā se thī
taskin-o-rahm se na to lafz-e-dua se thi
jo hum gunahgaron ko kar-e-saza se thi
us se bichhaD raha hun to kyon ro raha hun main
is baat ki KHabar to mujhe ibtida se thi
ab ke bacha saki na meri KHamushi mujhe
is bar meri jang kisi ham-nawa se thi
dushman hi ek ahl-e-wafa chahte the hum
haalanki dosti to har ek bewafa se thi
hum ne bhi bar-e-gham ko muqaddar samajh liya
kuchh roz tak hamein bhi shikayat KHuda se thi
jis ke taghafulon ke the charche tamam shahr
apni bhi to murad usi bewafa se thi
hijr-o-visal donon hi sharton mein tai thi maut
hum the charagh hum ko mohabbat hawa se thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.