taslim kar raha hun ki tera raqib hun
taslīm kar rahā huuñ ki terā raqīb huuñ
tū sochtā to hogā maiñ kitnā 'ajīb huuñ
ehsān kar rahā hai tirā hijr in dinoñ
maiñ in dinoñ ḳhudā ke ziyāda qarīb huuñ
mujh ko tumhāre 'ishq ne dī haiñ tasalliyāñ
kuchh log kah rahe the maiñ kitnā ġharīb huuñ
afsāna mujh se koī mukammal na ho sakā
tū jāntā nahīñ maiñ adhūrā adiib huuñ
apnī hatheliyoñ se yahī pūchhtā huuñ maiñ
kuchh to pata chale ki maiñ kis kā nasīb huuñ
mumkin hai is ke baa'd koī shai na dekh pā.ūñ
maiñ aaj raat chāñd ke behad qarīb huuñ
taslim kar raha hun ki tera raqib hun
tu sochta to hoga main kitna 'ajib hun
ehsan kar raha hai tera hijr in dinon
main in dinon KHuda ke ziyaada qarib hun
mujh ko tumhaare 'ishq ne di hain tasalliyan
kuchh log kah rahe the main kitna gharib hun
afsana mujh se koi mukammal na ho saka
tu jaanta nahin main adhura adib hun
apni hatheliyon se yahi puchhta hun main
kuchh to pata chale ki main kis ka nasib hun
mumkin hai is ke ba'd koi shai na dekh paun
main aaj raat chand ke behad qarib hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.