taslim mujhko main tere pasang to nahin
taslīm mujh ko maiñ tire pāsañg to nahīñ
lekin tujhe nasīb mirā rañg to nahīñ
maiñ kis liye fasīl-e-badan meñ chhupā rahūñ
merī kisī ke saath koī jañg to nahīñ
ghabrā rahe ho kyuuñ mirī bastī kā fāsla
hai chand gaam saiñkaḌoñ farsañg to nahīñ
bharte ho kis liye mirī tasvīr meñ ye rañg
mauj-e-shafaq kā rañg mirā rañg to nahīñ
be-ehtiyātiyoñ se tirī TuuT jā.egā
dil ek aa.ina hai koī sañg to nahīñ
phir kyuuñ karūñ ḳhayāl kisī aur des kā
mere liye zamīn-e-vatan tañg to nahīñ
din raat apne aap se rahnā ḳhafā ḳhafā
'shāhid' guzar-basar kā koī Dhañg to nahīñ
taslim mujh ko main tere pasang to nahin
lekin tujhe nasib mera rang to nahin
main kis liye fasil-e-badan mein chhupa rahun
meri kisi ke sath koi jang to nahin
ghabra rahe ho kyun meri basti ka fasla
hai chand gam sainkaDon farsang to nahin
bharte ho kis liye meri taswir mein ye rang
mauj-e-shafaq ka rang mera rang to nahin
be-ehtiyatiyon se teri TuT jaega
dil ek aaina hai koi sang to nahin
phir kyun karun KHayal kisi aur des ka
mere liye zamin-e-watan tang to nahin
din raat apne aap se rahna KHafa KHafa
'shahid' guzar-basar ka koi Dhang to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.