taslim un aankhon ka ejaz-e-masihai
taslīm un āñkhoñ kā ejāz-e-masīhā.ī
lekin ye batā āḳhir kis kis ne shifā paa.ī
vīrāna-e-hasrat meñ tum kaise chale aa.e
ho jaa.e na phir barham mujh se mirī tanhā.ī
har shahr-e-nigārāñ kā dastūr yahī dekhā
chup rahiye to mahrūmī kuchh kahiye to rusvā.ī
malhūz-e-nazar jab tak ādāb rahe ġham ke
jiine se bhī sharmā.e marte bhī hayā aa.ī
tafsīr-e-junūñ 'hairat' mauzū’ hī aisā thā
duniyā mirī bātoñ par mushkil se yaqīñ laa.ī
taslim un aankhon ka ejaz-e-masihai
lekin ye bata aaKHir kis kis ne shifa pai
virana-e-hasrat mein tum kaise chale aae
ho jae na phir barham mujh se meri tanhai
har shahr-e-nigaran ka dastur yahi dekha
chup rahiye to mahrumi kuchh kahiye to ruswai
malhuz-e-nazar jab tak aadab rahe gham ke
jine se bhi sharmae marte bhi haya aai
tafsir-e-junun 'hairat' mauzu’ hi aisa tha
duniya meri baaton par mushkil se yaqin lai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.