taswir banata hun teri KHun-e-jigar se
tasvīr banātā huuñ tirī ḳhūn-e-jigar se
dekhā hai tujhe maiñ ne mohabbat kī nazar se
jitne bhī mile rañg vo sab bhar diye tujh meñ
ik rañg-e-vafā aur hai lā.ūñ vo kidhar se
sāvan tirī zulfoñ se ghaTā maañg ke laayā
bijlī ne churā.ī hai taḌap terī nazar se
maiñ dil meñ bulā kar tujhe ruḳhsat na karūñgā
mushkil hai tirā lauT ke jaanā mire ghar se
taswir banata hun teri KHun-e-jigar se
dekha hai tujhe main ne mohabbat ki nazar se
jitne bhi mile rang wo sab bhar diye tujh mein
ek rang-e-wafa aur hai laun wo kidhar se
sawan teri zulfon se ghaTa mang ke laya
bijli ne churai hai taDap teri nazar se
main dil mein bula kar tujhe ruKHsat na karunga
mushkil hai tera lauT ke jaana mere ghar se
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 818)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.