taswir-e-dost fikr-e-mujassam bani rahi
tasvīr-e-dost fikr-e-mujassam banī rahī
maiñ us se boltā rahā vo sochtī rahī
kal shab tasavvurāt kī mahfil sajī rahī
jab tak tumhārā zikr rahā chāñdnī rahī
shāyad samajh rahī thī use bhī koī charāġh
jugnū ke pīchhe tez havā dauḌtī rahī
paanī kā intizām thā ġhairoñ ke haath meñ
yuuñ bhī gharoñ meñ aag hamāre lagī rahī
puurī huī na sar ko kaTāne kī aarzū
kāñdhoñ pe mere dil kī tamannā rukī rahī
phir aglī jañg laḌnā magar is shikast meñ
ye sochnā paḌegā kahāñ kyā kamī rahī
thī un ko sirf ek nazar dekhne kī baat
jo harf-e-āḳhirī kī tarah āḳhirī rahī
ulfat meñ haar jiit kā lagtā nahīñ pata
vo shart jo lagī bhī nahīñ thī lagī rahī
'saulat' kamī tumhārī agar hai to maan lo
kab tak yahī kahoge ki qismat burī rahī
taswir-e-dost fikr-e-mujassam bani rahi
main us se bolta raha wo sochti rahi
kal shab tasawwuraat ki mahfil saji rahi
jab tak tumhaara zikr raha chandni rahi
shayad samajh rahi thi use bhi koi charagh
jugnu ke pichhe tez hawa dauDti rahi
pani ka intizam tha ghairon ke hath mein
yun bhi gharon mein aag hamare lagi rahi
puri hui na sar ko kaTane ki aarzu
kandhon pe mere dil ki tamanna ruki rahi
phir agli jang laDna magar is shikast mein
ye sochna paDega kahan kya kami rahi
thi un ko sirf ek nazar dekhne ki baat
jo harf-e-aKHiri ki tarah aaKHiri rahi
ulfat mein haar jit ka lagta nahin pata
wo shart jo lagi bhi nahin thi lagi rahi
'saulat' kami tumhaari agar hai to man lo
kab tak yahi kahoge ki qismat buri rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.