taswir-e-KHush-adab hai dariya ke kinare
Interesting Fact
تاج محل دیکھ کر ایک تاثر
tasvīr-e-ḳhush-ādāb hai dariyā ke kināre
yā husn-e-jahāñ-tāb hai dariyā ke kināre
ik gauhar-e-ḳhush-tāb hai dariyā ke kināre
yā dīda-e-be-ḳhvāb hai dariyā ke kināre
āñkhoñ meñ hai ik jalva-e-shaffāf musalsal
aur zehn meñ girdāb hai dariyā ke kināre
us shoḳh kī añgḌā.ī kā hai aks sar-e-shām
yā sāya-e-mehrāb hai dariyā ke kināre
har aañkh pa-e-dīd jo uThtī hai ba-sad-shauq
goyā koī mahtāb hai dariyā ke kināre
hai ishq kī likkhī huī pākīza ibārat
yā husn kā ik baab hai dariyā ke kināre
dekhā jo 'ḳhatīb' us kā sarāpā sar-e-manzar
dil sūrat-e-sīmāb hai dariyā ke kināre
taswir-e-KHush-adab hai dariya ke kinare
ya husn-e-jahan-tab hai dariya ke kinare
ek gauhar-e-KHush-tab hai dariya ke kinare
ya dida-e-be-KHwab hai dariya ke kinare
aankhon mein hai ek jalwa-e-shaffaf musalsal
aur zehn mein girdab hai dariya ke kinare
us shoKH ki angDai ka hai aks sar-e-sham
ya saya-e-mehrab hai dariya ke kinare
har aankh pa-e-did jo uThti hai ba-sad-shauq
goya koi mahtab hai dariya ke kinare
hai ishq ki likkhi hui pakiza ibarat
ya husn ka ek bab hai dariya ke kinare
dekha jo 'KHatib' us ka sarapa sar-e-manzar
dil surat-e-simab hai dariya ke kinare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.