taswir-e-na-mukammal ek tishnagi ka KHaka
tasvīr-e-nā-mukammal ik tishnagī kā ḳhāka
par phaḌphaḌā rahā hai anqā mirī sadā kā
sab kyoñ dikhā rahe haiñ mauhūm sī ḳharāsheñ
pūchhā thā sirf maiñ ne bīmār se davā kā
dīvāngī nahīñ jo chhū chhū ke dekhtā huuñ
āñkheñ hī ab milī haiñ andhā thā maiñ sadā kā
hāthoñ ko jaane kab se bas dho.e jā rahā huuñ
saada se canvas par saaya sā hai havā kā
chheḌo na in ragoñ ko shāḳheñ ye phuul sī haiñ
marham na mil sakegā phir zaḳhm-e-nāravā kā
vahmoñ kī sau haiñ shakleñ lakḌī ke ek ghar meñ
kyā kyā nahīñ dikhātā ye raat kā khaTākā
ik be-dimāġh hāthī lashkar se aa milā hai
ab ye dimāġh hogā lashkar ke naqsh-e-pā kā
taswir-e-na-mukammal ek tishnagi ka KHaka
par phaDphaDa raha hai anqa meri sada ka
sab kyon dikha rahe hain mauhum si KHarashen
puchha tha sirf main ne bimar se dawa ka
diwangi nahin jo chhu chhu ke dekhta hun
aankhen hi ab mili hain andha tha main sada ka
hathon ko jaane kab se bas dhoe ja raha hun
sada se canwas par saya sa hai hawa ka
chheDo na in ragon ko shaKHen ye phul si hain
marham na mil sakega phir zaKHm-e-narawa ka
wahmon ki sau hain shaklen lakDi ke ek ghar mein
kya kya nahin dikhata ye raat ka khaTaka
ek be-dimagh hathi lashkar se aa mila hai
ab ye dimagh hoga lashkar ke naqsh-e-pa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.