taswir jo na kawish-e-idrak se bani
tasvīr jo na kāvish-e-idrāk se banī
vo aaj apne dīda-e-namnāk se banī
duniyā hamāre vāste ik rāhatoñ kā ghar
sach pūchhiye to jur.at-e-be-bāk se banī
ajzā-e-kā.enāt judā kar ke dekhiye
har shai jahān-e-fikr meñ hai ḳhaak se banī
be-pardagī jahāñ bhī huī husn-e-yār kī
chilman junūñ ke dāman-e-sad-chāk se banī
zarrāt ke vajūd se sābit huā 'sahar'
ye kā.enāt gardish-e-aflāk se banī
taswir jo na kawish-e-idrak se bani
wo aaj apne dida-e-namnak se bani
duniya hamare waste ek rahaton ka ghar
sach puchhiye to jurat-e-be-bak se bani
ajza-e-kaenat juda kar ke dekhiye
har shai jahan-e-fikr mein hai KHak se bani
be-pardagi jahan bhi hui husn-e-yar ki
chilman junun ke daman-e-sad-chaak se bani
zarraat ke wajud se sabit hua 'sahar'
ye kaenat gardish-e-aflak se bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.