TaTolne pe bhi dil ka nishan nahin milta
TaTolne pe bhī dil kā nishāñ nahīñ miltā
ġhazab ḳhudā kā jahāñ kā jahāñ nahīñ miltā
bhaTak rahe haiñ ḳhalāoñ meñ hazrat-e-insāñ
na.ī zamīn nayā āsmāñ nahīñ miltā
kahāñ milegā ḳhudā ye na pūchhiye mujh se
koī batā.e mujhe vo kahāñ nahīñ miltā
zamīñ bhī ghuum rahī hai zamīn vaale bhī
kisī ko chain tah-e-āsmāñ nahīñ miltā
sukūn DhūñDne vaale kamāl karte haiñ
vahīñ talāsh kareñge jahāñ nahīñ miltā
tire savāl ke milte javāb agar 'fayyāz'
javāb kuchh to udhar se bhī haañ nahīñ miltā
TaTolne pe bhi dil ka nishan nahin milta
ghazab KHuda ka jahan ka jahan nahin milta
bhaTak rahe hain KHalaon mein hazrat-e-insan
nai zamin naya aasman nahin milta
kahan milega KHuda ye na puchhiye mujh se
koi batae mujhe wo kahan nahin milta
zamin bhi ghum rahi hai zamin wale bhi
kisi ko chain tah-e-asman nahin milta
sukun DhunDne wale kamal karte hain
wahin talash karenge jahan nahin milta
tere sawal ke milte jawab agar 'fayyaz'
jawab kuchh to udhar se bhi han nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.