tauba kā paas rind-e-mai-āshām ho chukā
bas ho chukā taqaddus-e-islām ho chukā
sham-e-haram thā gaah gahe dair kā charāġh
maiñ zeb-e-kufr-o-raunaq-e-islām ho chukā
koThe pe chaliye lutf-e-shab-e-māh dekhiye
sab chāñdnī kā farsh lab-e-bām ho chukā
dīñ-dār barhaman kahe kāfir batā.e shaiḳh
donoñ taraf se morid-e-ilzām ho chukā
aksar mushā'ere pe huā bazm-e-ġham kā shak
kyā kyā mire kalām pe kohrām ho chukā
qur.āñ uThāte haiñ tama.a-e-zar ke vāste
dīñ-dār agar yahī haiñ to islām ho chukā
ka.abe ko jaate jaate phire sū-e-dair 'rind'
lo haj kar aa.e aap aur ehrām ho chukā
tauba ka pas rind-e-mai-asham ho chuka
bas ho chuka taqaddus-e-islam ho chuka
sham-e-haram tha gah gahe dair ka charagh
main zeb-e-kufr-o-raunaq-e-islam ho chuka
koThe pe chaliye lutf-e-shab-e-mah dekhiye
sab chandni ka farsh lab-e-baam ho chuka
din-dar barhaman kahe kafir batae shaiKH
donon taraf se morid-e-ilzam ho chuka
aksar musha'ere pe hua bazm-e-gham ka shak
kya kya mere kalam pe kohram ho chuka
quran uThate hain tama-e-zar ke waste
din-dar agar yahi hain to islam ho chuka
kabe ko jate jate phire su-e-dair 'rind'
lo haj kar aae aap aur ehram ho chuka
Source :
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 68)
- Author : Farhat Ehsas
-
Publication : Rekhta Books
(2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.