tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya
tauba kiije ab fareb-e-dostī khā.eñge kyā
aaj tak pachhtā rahe haiñ aur pachhtā.eñge kyā
ḳhud samajhiye zab.h hone vaale samjhā.eñge kyā
baat pahuñchegī kahāñ tak aap kahlā.eñge kyā
bazm-e-kasrat meñ ye kyuuñ hotā hai un kā intizār
parda-e-vahdat se vo bāhar nikal ā.eñge kyā
kal bahār aa.egī ye sun kar qafas badlo na tum
raat bhar meñ qaidiyoñ ke par nikal ā.eñge kyā
ai dil-e-muztar inhīñ bātoñ se chhūTā thā chaman
ab tire naale qafas se bhī nikalvā.eñge kyā
ai qafas vaalo rihā.ī kī tamannā hai fuzūl
fasl-e-gul aane se pahle par na kaT jā.eñge kyā
shām-e-ġham jal jal ke misl-e-sham.a ho jā.ūñgā ḳhatm
sub.h ko ahbāb ā.eñge to dafnā.eñge kyā
jāntā huuñ phūñk degā mere ghar ko bāġhbāñ
āshiyāñ ke paas vaale phuul rah jā.eñge kyā
un kī mahfil meñ chalā aayā hai dushman ḳhair ho
misl-e-ādam ham bhī jannat se nikal jā.eñge kyā
nāḳhudā maujoñ meñ kashtī hai to ho ham ko na dekh
jin ko tūfānoñ ne paalā hai vo ghabrā.eñge kyā
tū ne tūfāñ dekhte hī kyuuñ nigāheñ pher liiñ
nāḳhudā ye ahl-e-kashtī Duub hī jā.eñge kyā
kyuuñ ye bairūn-e-chaman jalte hue tinke ga.e
mere ghar kī aag duniyā bhar meñ phailā.eñge kyā
koī to mūnis rahegā ai 'qamar' shām-e-firāq
sham.a gul hogī to ye taare bhī chhup jā.eñge kyā
tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya
aaj tak pachhta rahe hain aur pachhtaenge kya
KHud samajhiye zabh hone wale samjhaenge kya
baat pahunchegi kahan tak aap kahlaenge kya
bazm-e-kasrat mein ye kyun hota hai un ka intizar
parda-e-wahdat se wo bahar nikal aaenge kya
kal bahaar aaegi ye sun kar qafas badlo na tum
raat bhar mein qaidiyon ke par nikal aaenge kya
ai dil-e-muztar inhin baaton se chhuTa tha chaman
ab tere nale qafas se bhi nikalwaenge kya
ai qafas walo rihai ki tamanna hai fuzul
fasl-e-gul aane se pahle par na kaT jaenge kya
sham-e-gham jal jal ke misl-e-shama ho jaunga KHatm
subh ko ahbab aaenge to dafnaenge kya
jaanta hun phunk dega mere ghar ko baghban
aashiyan ke pas wale phul rah jaenge kya
un ki mahfil mein chala aaya hai dushman KHair ho
misl-e-adam hum bhi jannat se nikal jaenge kya
naKHuda maujon mein kashti hai to ho hum ko na dekh
jin ko tufanon ne pala hai wo ghabraenge kya
tu ne tufan dekhte hi kyun nigahen pher lin
naKHuda ye ahl-e-kashti Dub hi jaenge kya
kyun ye bairun-e-chaman jalte hue tinke gae
mere ghar ki aag duniya bhar mein phailaenge kya
koi to munis rahega ai 'qamar' sham-e-firaq
shama gul hogi to ye tare bhi chhup jaenge kya
- Book : Auj-Qamar (Pg. 157)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.