taur jine ke badal kar dekh len
taur jiine ke badal kar dekh leñ
vaqt ke sāñche meñ Dhal kar dekh leñ
dil se bāhar bhī haiñ kitnī bastiyāñ
dil kī duniyā se nikal kar dekh leñ
ek pahlū zindagī kā aur hai
zāviya apnā badal kar dekh leñ
vaqt kyā hai vaqt kī pahchān kyā
aao is ke saath chal kar dekh leñ
vaise dil ko kaam ye aatā nahīñ
vo sambhāle to sañbhal kar dekh leñ
ḳhvāhishoñ ke haiñ bhañvar chāroñ taraf
is talātum se nikal kar dekh leñ
taur jine ke badal kar dekh len
waqt ke sanche mein Dhal kar dekh len
dil se bahar bhi hain kitni bastiyan
dil ki duniya se nikal kar dekh len
ek pahlu zindagi ka aur hai
zawiya apna badal kar dekh len
waqt kya hai waqt ki pahchan kya
aao is ke sath chal kar dekh len
waise dil ko kaam ye aata nahin
wo sambhaale to sanbhal kar dekh len
KHwahishon ke hain bhanwar chaaron taraf
is talatum se nikal kar dekh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.