tawaf-e-husn karun aur sar jhukaun main
tavāf-e-husn karūñ aur sar jhukā.ūñ maiñ
vo chāhtā hai ki ka.abe ko bhī nā jā.ūñ maiñ
merā junūn-e-mohabbat mujhe ye kahtā hai
paḌā rahūñ tere kūche meñ ghar nā jā.ūñ maiñ
vo ek shaḳhs jo bālīñ pe merī baiThe to
kafan utaar duuñ chehre se muskurā.ūñ maiñ
ye jaan kar bhī ki va.ada-ḳhilāf tū hī hai
terī vafā ko nahīñ ḳhud ko āzmā.ūñ maiñ
mere ye sher usī shaḳhs kī amānat haiñ
jise ġhazal ke bahāne se gungunā.ūñ maiñ
tawaf-e-husn karun aur sar jhukaun main
wo chahta hai ki kabe ko bhi na jaun main
mera junun-e-mohabbat mujhe ye kahta hai
paDa rahun tere kuche mein ghar na jaun main
wo ek shaKHs jo baalin pe meri baiThe to
kafan utar dun chehre se muskuraun main
ye jaan kar bhi ki wada-KHilaf tu hi hai
teri wafa ko nahin KHud ko aazmaun main
mere ye sher usi shaKHs ki amanat hain
jise ghazal ke bahane se gungunaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.