tawaf-e-kaba-o-but-KHana la-hasil samajhte hain
tawaf-e-kaba-o-but-KHana la-hasil samajhte hain
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
tavāf-e-ka.aba-o-but-ḳhāna lā-hāsil samajhte haiñ
jo apne dil ko husn-e-yār kī manzil samajhte haiñ
vo hī kuchh dard ko dard aur dil ko dil samajhte haiñ
kisī nākām kī mushkil ko jo mushkil samajhte haiñ
harīm-e-nāz kā hotā hai dhokā zarre zarre par
tire dīvāne har uftād ko manzil samajhte haiñ
hazāroñ jāñ-sitāñ fitne liyā karte haiñ añgḌā.ī
tirī mastī bharī āñkhoñ ko ham qātil samajhte haiñ
junūñ meñ paikar-e-har-zarra hai sāz-e-anā-lailā
koī parda ho vahshī parda-e-mahmil samajhte haiñ
mohabbat meñ jinheñ har gaam par hotī hai nākāmī
vahī kuchh qadr-e-zauq-e-sa.ī-e-lā-hāsil samajhte haiñ
na pūchho kuchh ki hai sarf-e-ḳhalish kyā chiiz pahlū meñ
sab is ko dard kahte haiñ ham is ko dil samajhte haiñ
mohabbat be-niyāz-e-kaif-e-vasl-o-hijr hotī hai
ise kyā bul-havas samjhegā ahl-e-dil samajhte haiñ
nazar pahūñchī kahāñ allāhu-akbar tere kushtoñ kī
ki apne hī ko apnā hashr meñ qātil samajhte haiñ
musībat māya-e-rāhat hai arbāb-e-mohabbat ko
haqīqat-āshnā girdāb ko sāhil samajhte haiñ
taḌap kar jaan de denā jo sach pūchho to āsāñ hai
mohabbat meñ magar jiine ko ham mushkil samajhte haiñ
usī par bārisheñ hotī haiñ anvār-e-tajallī kī
jise vo iltifāt-e-nāz ke qābil samajhte haiñ
haqīqat meñ unhīñ kī zindagī hai zindagī 'farruḳh'
ajal ko hastī-e-fānī kā jo hāsil samajhte haiñ
tawaf-e-kaba-o-but-KHana la-hasil samajhte hain
jo apne dil ko husn-e-yar ki manzil samajhte hain
wo hi kuchh dard ko dard aur dil ko dil samajhte hain
kisi nakaam ki mushkil ko jo mushkil samajhte hain
harim-e-naz ka hota hai dhoka zarre zarre par
tere diwane har uftad ko manzil samajhte hain
hazaron jaan-sitan fitne liya karte hain angDai
teri masti bhari aankhon ko hum qatil samajhte hain
junun mein paikar-e-har-zarra hai saz-e-ana-laila
koi parda ho wahshi parda-e-mahmil samajhte hain
mohabbat mein jinhen har gam par hoti hai nakaami
wahi kuchh qadr-e-zauq-e-sai-e-la-hasil samajhte hain
na puchho kuchh ki hai sarf-e-KHalish kya chiz pahlu mein
sab is ko dard kahte hain hum is ko dil samajhte hain
mohabbat be-niyaz-e-kaif-e-wasl-o-hijr hoti hai
ise kya bul-hawas samjhega ahl-e-dil samajhte hain
nazar pahunchi kahan allahu-akbar tere kushton ki
ki apne hi ko apna hashr mein qatil samajhte hain
musibat maya-e-rahat hai arbab-e-mohabbat ko
haqiqat-ashna girdab ko sahil samajhte hain
taDap kar jaan de dena jo sach puchho to aasan hai
mohabbat mein magar jine ko hum mushkil samajhte hain
usi par barishen hoti hain anwar-e-tajalli ki
jise wo iltifat-e-naz ke qabil samajhte hain
haqiqat mein unhin ki zindagi hai zindagi 'farruKH'
ajal ko hasti-e-fani ka jo hasil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.