tawana hun dil-e-ranjur ki saugand kyon khaun
tavānā huuñ dil-e-ranjūr kī saugand kyoñ khā.ūñ
maiñ jab muḳhtār huuñ majbūr kī saugand kyoñ khā.ūñ
mujhe arsh-e-barīñ ke jalva-e-dā.im se nisbat hai
koī vaa.iz huuñ maiñ bhī huur kī saugand kyoñ khā.ūñ
mirā tūr-e-tajallī raat din hai mere pahlū meñ
nahīñ jab aag lenā tuur kī saugand kyoñ khā.ūñ
mirā har nā-chakīda ashk kā qatra hai be-sāhil
maiñ tūfān-e-balā tannūr kī saugand kyoñ khā.ūñ
haqīqat meñ mirī ḳhāmoshiyāñ parda haiñ mahshar kā
huuñ ḳhurshīd-e-qayāmat suur kī saugand kyoñ khā.ūñ
anal-haq kī bajā.e maiñ alal-haq kā huuñ āvāza
paḌī hai kyā mujhe mansūr kī saugand kyoñ khā.ūñ
kulāh-e-faqr jab maiñ ne azal se oḌh rakkhī hai
'amīñ' tū hī batā faġhfūr kī saugand kyoñ khā.ūñ
tawana hun dil-e-ranjur ki saugand kyon khaun
main jab muKHtar hun majbur ki saugand kyon khaun
mujhe arsh-e-barin ke jalwa-e-daim se nisbat hai
koi waiz hun main bhi hur ki saugand kyon khaun
mera tur-e-tajalli raat din hai mere pahlu mein
nahin jab aag lena tur ki saugand kyon khaun
mera har na-chakida ashk ka qatra hai be-sahil
main tufan-e-bala tannur ki saugand kyon khaun
haqiqat mein meri KHamoshiyan parda hain mahshar ka
hun KHurshid-e-qayamat sur ki saugand kyon khaun
anal-haq ki bajae main alal-haq ka hun aawaza
paDi hai kya mujhe mansur ki saugand kyon khaun
kulah-e-faqr jab main ne azal se oDh rakkhi hai
'amin' tu hi bata faghfur ki saugand kyon khaun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 97)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.