tawajjoh chahenge phir bhi kisi bahane se
tavajjoh chāheñge phir bhī kisī bahāne se
sharīr thak ga.e jab sīTiyāñ bajāne se
maiñ dhīre dhīre use apnī raah par laa.ī
añdherā ghaTtā gayā raushnī baḌhāne se
ḳhudā dimāġh de un ko charāġh de un ko
jo jal ga.e haiñ hamāre diyā jalāne se
sukūt TuuT gayā jaise kitnī sadiyoñ kā
shajar kā sūkhā huā pattā charmarāne se
tawajjoh chahenge phir bhi kisi bahane se
sharir thak gae jab siTiyan bajaane se
main dhire dhire use apni rah par lai
andhera ghaTta gaya raushni baDhane se
KHuda dimagh de un ko charagh de un ko
jo jal gae hain hamare diya jalane se
sukut TuT gaya jaise kitni sadiyon ka
shajar ka sukha hua patta charmarane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.