Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tawajjoh unki kya kam ho gai hai

Jaleel Sherkoti

tawajjoh unki kya kam ho gai hai

Jaleel Sherkoti

tavajjoh un kyā kam ho ga.ī hai

balā-e-jāñ shab-e-ġham ho ga.ī hai

ḳhirad nuur kyā phailā jahāñ meñ

diloñ raushnī kam ho ga.ī hai

rahī hogī kabhī jannat ye duniyā

magar ab to jahannam ho ga.ī hai

atom-zādoñ ye me.arāj-e-taraqqī

harīf-e-ibn-e-ādam ho ga.ī hai

shikast-e-ḳhvāb tanzīm-e-gulistāñ

dalīl-e-azm-e-mohkam ho ga.ī hai

ḳhazaf mol jab se baḌh gayā hai

sadaf aabrū kam ho ga.ī hai

kabhī vaqf-e-tarab thī zindagānī

magar ab sirf mātam ho ga.ī hai

tawajjoh un ki kya kam ho gai hai

bala-e-jaan shab-e-gham ho gai hai

KHirad ka nur kya phaila jahan mein

dilon ki raushni kam ho gai hai

rahi hogi kabhi jannat ye duniya

magar ab to jahannam ho gai hai

atom-zadon ye mearaj-e-taraqqi

harif-e-ibn-e-adam ho gai hai

shikast-e-KHwab tanzim-e-gulistan

dalil-e-azm-e-mohkam ho gai hai

KHazaf ka mol jab se baDh gaya hai

sadaf ki aabru kam ho gai hai

kabhi waqf-e-tarab thi zindagani

magar ab sirf matam ho gai hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now