tawil ishq ki chahat thi muKHtasar na mila
tavīl ishq kī chāhat thī muḳhtasar na milā
hamāre jaisoñ ko ye tohfa umr-bhar na milā
tamām umr ulajhtā rahā maiñ duniyā se
samajh sake jo mujhe aisā ham-nazar na milā
udāsiyāñ haiñ faqat arz-e-dil meñ phailī huī
vo shāḳh huuñ maiñ jise koī bhī samar na milā
kisī ke dil meñ mukammal qiyām karne ko
koī bhī nusḳha mohabbat se kārgar na milā
tawil ishq ki chahat thi muKHtasar na mila
hamare jaison ko ye tohfa umr-bhar na mila
tamam umr ulajhta raha main duniya se
samajh sake jo mujhe aisa ham-nazar na mila
udasiyan hain faqat arz-e-dil mein phaili hui
wo shaKH hun main jise koi bhi samar na mila
kisi ke dil mein mukammal qiyam karne ko
koi bhi nusKHa mohabbat se kargar na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.