tawil lagti ho gar rahguzar to jaane do
tawil lagti ho gar rahguzar to jaane do
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
tavīl lagtī ho gar rahguzar to jaane do
huā ho pairoñ ko mushkil safar to jaane do
phir ek roz sadā ban ke ham bhī gūñjeñge
badan hamārā ḳhamoshī se bhar to jaane do
mujhe bhī ilm hai kitnā bigaḌ chukā huuñ maiñ
dobāra ban nahīñ saktā agar to jaane do
hamāre saath agar haiñ to apne hī saa.e
jo DhūñDhte ho yahāñ par shajar to jaane do
banā.eñge kabhī ḳhud ko kareñge phir yakjā
hameñ tasallī se pahle bikhar to jaane do
tumheñ bhī de ke jagah haath āzmā.eñge
magar guzishta kā is dil se Dar to jaane do
ik ek niiñd ke jhoñke kā badlā leñge ham
tumhārī āñkhoñ meñ ham ko utar to jaane do
ye ehtiyāt baratnā thā ishq se pahle
ab is ke ba.ad agar jaa.e sar to jaane
tawil lagti ho gar rahguzar to jaane do
hua ho pairon ko mushkil safar to jaane do
phir ek roz sada ban ke hum bhi gunjenge
badan hamara KHamoshi se bhar to jaane do
mujhe bhi ilm hai kitna bigaD chuka hun main
dobara ban nahin sakta agar to jaane do
hamare sath agar hain to apne hi sae
jo DhunDhte ho yahan par shajar to jaane do
banaenge kabhi KHud ko karenge phir yakja
hamein tasalli se pahle bikhar to jaane do
tumhein bhi de ke jagah hath aazmaenge
magar guzishta ka is dil se Dar to jaane do
ek ek nind ke jhonke ka badla lenge hum
tumhaari aankhon mein hum ko utar to jaane do
ye ehtiyat baratna tha ishq se pahle
ab is ke baad agar jae sar to jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.