tawil rasta hai hath tham lijiye
tavīl rāsta hai haath thaam lījiye
ki dil ke saath 'aql se bhī kaam lījiye
bahār meñ ḳhudā ko yaad kījiye bhī kyoñ
ḳhizāñ meñ par usī kā ḳhuub naam lījiye
agar davā-e-dard-e-dil hai mujh se guftugū
to aap is davā ko sub.h-o-shām lījiye
sanam se chaah merī kuchh na thī ba-juz vafā
shabāb par kahe ki lutf-e-'ām lījiye
munāfiqoñ kā faisla ḳhudā pe chhoḌiye
mu'āf kījiye na intiqām lījiye
ta'ām bhī hidāyatoñ kā phir na ho nasīb
na is qadar bhī lazzat-e-harām lījiye
hai jumbish-e-zabān kā ye zabt jab talak
ki tab talak to nain kā payām lījiye
bhale muhib ho laakh par usuul ye hai 'zān'
kisī kā apne sar na ittihām lījiye
tawil rasta hai hath tham lijiye
ki dil ke sath 'aql se bhi kaam lijiye
bahaar mein KHuda ko yaad kijiye bhi kyon
KHizan mein par usi ka KHub nam lijiye
agar dawa-e-dard-e-dil hai mujh se guftugu
to aap is dawa ko subh-o-sham lijiye
sanam se chah meri kuchh na thi ba-juz wafa
shabab par kahe ki lutf-e-'am lijiye
munafiqon ka faisla KHuda pe chhoDiye
mu'af kijiye na intiqam lijiye
ta'am bhi hidayaton ka phir na ho nasib
na is qadar bhi lazzat-e-haram lijiye
hai jumbish-e-zaban ka ye zabt jab talak
ki tab talak to nain ka payam lijiye
bhale muhib ho lakh par usul ye hai 'zan'
kisi ka apne sar na ittiham lijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.