tavīl raat ho aisī kināre bhī na raheñ
hamāre saath meñ chalte sitāre bhī na raheñ
talāsh merī kisī rahguzar talak jaa.e
na jiit paa.e agar us ko haare bhī na raheñ
havā utaar badan merā aur chaman se nikal
le chal udhar ki jidhar ye nazāre bhī na raheñ
mujhe ujaaḌ chukī āñdhiyāñ palaT aa.iiñ
hai un ko fikr bhalā ham hamāre bhī na raheñ
jise hai jaanā chalā jaa.e umr bhar ke liye
ye roz roz ke 'tejas' ḳhasāre bhī na raheñ
tawil raat ho aisi kinare bhi na rahen
hamare sath mein chalte sitare bhi na rahen
talash meri kisi rahguzar talak jae
na jit pae agar us ko haare bhi na rahen
hawa utar badan mera aur chaman se nikal
le chal udhar ki jidhar ye nazare bhi na rahen
mujhe ujaD chuki aandhiyan palaT aain
hai un ko fikr bhala hum hamare bhi na rahen
jise hai jaana chala jae umr bhar ke liye
ye roz roz ke 'tejas' KHasare bhi na rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.