tawil raaton ke ghup andheron ke baad nikla hai kya naya din
tavīl rātoñ ke ghup añdheroñ ke baa'd niklā hai kyā nayā din
ḳhizāñ kī zardī se zard hotā bujhā-bujhā sogvār sā din
junūñ ke sahrā meñ jhulsā-jhulsā sulag-sulag kar guzar rahā thā
phir abr-ālūd ishq sūraj ko Dhak ke thoḌā bachā gayā din
na jaane kitnī bujhī ummīdeñ thiiñ dil bhī shab se bujhā huā thā
kiran jo phūTī to jaagī āñkhoñ meñ surḳh Doroñ sā bhar gayā din
ḳhushī ke jaisī ḳhushī nahīñ thī magar the ġham sab ġhamoñ ke jaise
thā ek muflis ke TuuTe chhappar meñ raat jaisā jalā bujhā din
ye raat aatī hī is liye hai ki din kī qīmat samajh meñ aa.e
magar haiñ kuchh bad-nasīb aise ki jin ko sab kuchh milā sivā din
mahakne vaalī hai raat jaise uruus mushk-o-hinā se mahke
shafaq kā sahrā utārtā hai sahar se dūlhā banā huā din
'hinā' ye shahroñ kī zindagī ab taḌap ke kartī hai yaad aksar
vo guḌ sī bāteñ vo soñdhī miTTī vo gaañv vaalā sukūñ bharā din
tawil raaton ke ghup andheron ke ba'd nikla hai kya naya din
KHizan ki zardi se zard hota bujha-bujha sogwar sa din
junun ke sahra mein jhulsa-jhulsa sulag-sulag kar guzar raha tha
phir abr-alud ishq suraj ko Dhak ke thoDa bacha gaya din
na jaane kitni bujhi ummiden thin dil bhi shab se bujha hua tha
kiran jo phuTi to jagi aankhon mein surKH Doron sa bhar gaya din
KHushi ke jaisi KHushi nahin thi magar the gham sab ghamon ke jaise
tha ek muflis ke TuTe chhappar mein raat jaisa jala bujha din
ye raat aati hi is liye hai ki din ki qimat samajh mein aae
magar hain kuchh bad-nasib aise ki jin ko sab kuchh mila siwa din
mahakne wali hai raat jaise urus mushk-o-hina se mahke
shafaq ka sahra utarta hai sahar se dulha bana hua din
'hina' ye shahron ki zindagi ab taDap ke karti hai yaad aksar
wo guD si baaten wo sondhi miTTi wo ganw wala sukun bhara din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.