tawil raaton ki KHamushi mein meri fughan thak ke so gai hai
tavīl rātoñ kī ḳhāmushī meñ mirī fuġhāñ thak ke so ga.ī hai
tumhārī āñkhoñ ne jo kahī thī vo dāstāñ thak ke so ga.ī hai
gilā nahīñ tujh se zindagī ke vo zāviye hī badal chuke haiñ
mirī vafā vo tire taġhāful kī nauha-ḳhvāñ thak ke so ga.ī hai
mire ḳhayāloñ meñ aaj bhī ḳhvāb ahd-e-rafta ke jāgte haiñ
tumhāre pahlū meñ kāhish-e-yād-e-āstāñ thak ke so ga.ī hai
sahar kī ummīd ab kise hai sahar kī ummīd ho bhī kaise
ki ziist ummīd o nā-ummīdī ke darmiyāñ thak ke so ga.ī hai
na jaane maiñ kis udheḌ-bun meñ ulajh gayā huuñ ki mujh ko 'rāhī'
ḳhabar nahīñ kuchh vo ārzū-e-sukūñ kahāñ thak ke so ga.ī hai
tawil raaton ki KHamushi mein meri fughan thak ke so gai hai
tumhaari aankhon ne jo kahi thi wo dastan thak ke so gai hai
gila nahin tujh se zindagi ke wo zawiye hi badal chuke hain
meri wafa wo tere taghaful ki nauha-KHwan thak ke so gai hai
mere KHayalon mein aaj bhi KHwab ahd-e-rafta ke jagte hain
tumhaare pahlu mein kahish-e-yaad-e-astan thak ke so gai hai
sahar ki ummid ab kise hai sahar ki ummid ho bhi kaise
ki zist ummid o na-ummidi ke darmiyan thak ke so gai hai
na jaane main kis udheD-bun mein ulajh gaya hun ki mujh ko 'rahi'
KHabar nahin kuchh wo aarzu-e-sukun kahan thak ke so gai hai
- Book : Rag-e-jan (Pg. 106)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.