tazād-e-fitrat nafas nafas hai
kahīñ mohabbat kahīñ havas hai
yahīñ to letī hai ruuh sāñseñ
ye dil darīcha badan qafas hai
gulāb saa.at rahe salāmat
jahāñ bhī ḳhushbū se rang mas hai
maiñ apne ḳhvāboñ kī raakh huuñ ab
na aag baaqī na ḳhār-o-ḳhas hai
nazar jo aa na sake vo 'pinhāñ'
agar yaqīñ hai ki hai to bas hai
tazad-e-fitrat nafas nafas hai
kahin mohabbat kahin hawas hai
yahin to leti hai ruh sansen
ye dil daricha badan qafas hai
gulab saat rahe salamat
jahan bhi KHushbu se rang mas hai
main apne KHwabon ki rakh hun ab
na aag baqi na KHar-o-KHas hai
nazar jo aa na sake wo 'pinhan'
agar yaqin hai ki hai to bas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.