tazkira chheD diya aapne kyon jaane ka
tazkira chheḌ diyā aap ne kyoñ jaane kā
ghar meñ naqsha nazar aane lagā vīrāne kā
jurm-e-ulfat nahīñ iz.hār-e-tamannā lekin
haath phailānā bhī sheva nahīñ dīvāne kā
zulm ke ba.ad huā sabr kā darja raushan
ġham kiyā sham.a ne kis husn se parvāne kā
dasht-gardī meñ garebāñ ke uḌaa.e purze
paañv ke saath chalā haath bhī dīvāne kā
ab samajh-būjh ke is daur meñ piinā ai 'jurm'
rañg achchhā nazar aatā nahīñ maiḳhāne kā
tazkira chheD diya aap ne kyon jaane ka
ghar mein naqsha nazar aane laga virane ka
jurm-e-ulfat nahin izhaar-e-tamanna lekin
hath phailana bhi shewa nahin diwane ka
zulm ke baad hua sabr ka darja raushan
gham kiya shama ne kis husn se parwane ka
dasht-gardi mein gareban ke uDae purze
panw ke sath chala hath bhi diwane ka
ab samajh-bujh ke is daur mein pina ai 'jurm'
rang achchha nazar aata nahin maiKHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.