tazkira dil ka bar bar na kar
tazkira dil kā baar baar na kar
husn ko husn-e-sharmsār na kar
lutf-e-nazzāra-e-bahār uThā
sharh ajzā-e-barg-o-bār na kar
qad-o-gesū ko dād-e-ishrat de
fikr-e-ādāb-e-gīr-o-dār na kar
baḌh ke sāġhar uThā jo piinā hai
izn-e-sāqī kā intizār na kar
shauq kī raushnī meñ baḌhtā jā
kuchh ḳhayāl-e-ma.āl-e-kār na kar
din jo guzreñ baġhair-e-shāhid-o-jām
zindagī meñ unheñ shumār na kar
zer-e-dīvār-e-mai-kada 'maikash'
ḳhauf-e-āshob-e-rozgār na kar
tazkira dil ka bar bar na kar
husn ko husn-e-sharmsar na kar
lutf-e-nazzara-e-bahaar uTha
sharh ajza-e-barg-o-bar na kar
qad-o-gesu ko dad-e-ishrat de
fikr-e-adab-e-gir-o-dar na kar
baDh ke saghar uTha jo pina hai
izn-e-saqi ka intizar na kar
shauq ki raushni mein baDhta ja
kuchh KHayal-e-maal-e-kar na kar
din jo guzren baghair-e-shahid-o-jam
zindagi mein unhen shumar na kar
zer-e-diwar-e-mai-kada 'maikash'
KHauf-e-ashob-e-rozgar na kar
- Book : KHuli kitab (Pg. 46)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.