tazkira merī javānī kā vahāñ kaam aayā
us ne añgḌā.ī lī jis vaqt mirā naam aayā
qatl-nāma jo zarūrat se uThāyā us ne
muskurāne lagā jis vaqt mirā naam aayā
dil ko pāmāl kiyā us kī haqīqat kyā thī
aap ke naam kā thā aap hī ke kaam aayā
ishq-bāzī meñ mirī dosto itnī thī hayāt
dil lagānā thā ki bas maut kā paiġhām aayā
jaan jab dī hai to ye martaba ulfat meñ milā
yaar ke naam ke hamrāh mirā naam aayā
bazm-e-sāqī kī mujhe roz ḳhabar miltī hai
dil mirā kahtā hai gardish meñ vahāñ jaam aayā
bachpanā guzrā shabāb aa gayā tevar badle
itnī muddat meñ mire qatl kā hañgām aayā
jab mujhe ḳhat meñ likhā āshiq-e-jāñbāz likhā
hifz karte rahe ab tak na mirā naam aayā
un ko mālūm huā jaise ye āshiq hai mirā
phir na us din se koī nāma-o-paiġhām aayā
aayā mayyat pe lahad meñ bhī utārā mujh ko
jis se ummīd na thī kuchh vo mire kaam aayā
dekhne vāloñ kī ab jaan kā bachnā hai muhāl
puurī zīnat kiye vo shoḳh sar-e-bām aayā
us ko phir apne hī siine se lagāyā maiñ ne
us ke kūche se jo merā dil-e-nākām aayā
din to furqat kā kaTā raat kaTegī kyūñkar
dil dhaḌaktā hai ki ab shaam kā hañgām aayā
baad marne ke mujhe aap se ḳhiffat ye hai
jaan to maut ne lī aap pe ilzām aayā
jab sunā un kā shabāb aayā to kahtā hai 'shafīq'
minnateñ maanī haiñ jab qatl kā hañgām aayā
tazkira meri jawani ka wahan kaam aaya
us ne angDai li jis waqt mera nam aaya
qatl-nama jo zarurat se uThaya us ne
muskurane laga jis waqt mera nam aaya
dil ko pamal kiya us ki haqiqat kya thi
aap ke nam ka tha aap hi ke kaam aaya
ishq-bazi mein meri dosto itni thi hayat
dil lagana tha ki bas maut ka paigham aaya
jaan jab di hai to ye martaba ulfat mein mila
yar ke nam ke hamrah mera nam aaya
bazm-e-saqi ki mujhe roz KHabar milti hai
dil mera kahta hai gardish mein wahan jam aaya
bachpana guzra shabab aa gaya tewar badle
itni muddat mein mere qatl ka hangam aaya
jab mujhe KHat mein likha aashiq-e-jaanbaz likha
hifz karte rahe ab tak na mera nam aaya
un ko malum hua jaise ye aashiq hai mera
phir na us din se koi nama-o-paigham aaya
aaya mayyat pe lahad mein bhi utara mujh ko
jis se ummid na thi kuchh wo mere kaam aaya
dekhne walon ki ab jaan ka bachna hai muhaal
puri zinat kiye wo shoKH sar-e-baam aaya
us ko phir apne hi sine se lagaya main ne
us ke kuche se jo mera dil-e-nakaam aaya
din to furqat ka kaTa raat kaTegi kyunkar
dil dhaDakta hai ki ab sham ka hangam aaya
baad marne ke mujhe aap se KHiffat ye hai
jaan to maut ne li aap pe ilzam aaya
jab suna un ka shabab aaya to kahta hai 'shafiq'
minnaten mani hain jab qatl ka hangam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.