tera apna hun dekh-bhaal mujhe
terā apnā huuñ dekh-bhāl mujhe
kho na jā.ūñ kahīñ sañbhāl mujhe
maiñ chalā to gayā thā duur kahīñ
phir tirā aa gayā ḳhayāl mujhe
maiñ to pahle bhī huuñ musībat meñ
ġham ko sahne meñ hai kamāl mujhe
vo tire saath ab nahīñ hote
log karne lage savāl mujhe
maiñ ne rakkhā azīz-e-jāñ tum ko
dekh mushkil meñ tū na Daal mujhe
maiñ huuñ sūraj tire zamāne kā
dost mumkin nahīñ zavāl mujhe
maiñ tirī dastaras meñ huuñ kab se
vahshat-e-hijr se nikāl mujhe
maar Dālegī ek din 'tanhā'
ye tirī shoḳhī-e-jamāl mujhe
tera apna hun dekh-bhaal mujhe
kho na jaun kahin sanbhaal mujhe
main chala to gaya tha dur kahin
phir tera aa gaya KHayal mujhe
main to pahle bhi hun musibat mein
gham ko sahne mein hai kamal mujhe
wo tere sath ab nahin hote
log karne lage sawal mujhe
main ne rakkha aziz-e-jaan tum ko
dekh mushkil mein tu na Dal mujhe
main hun suraj tere zamane ka
dost mumkin nahin zawal mujhe
main teri dastaras mein hun kab se
wahshat-e-hijr se nikal mujhe
mar Dalegi ek din 'tanha'
ye teri shoKHi-e-jamal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.