tera asar mujh mein nazar aata hai kyun
terā asar mujh meñ nazar aatā hai kyuuñ
ye soch ke dil aur ghabrātā hai kyuuñ
koī na dekhe ashk Thahrī āñkhoñ meñ
chehrā mirā itnā bhī muskāta hai kyuuñ
jab dā.eroñ meñ hī kaTī hai zindagī
dil qaid se be-bāt jhulsātā hai kyuuñ
taqdīr ne shāyad kahānī ho likhī
mat pūchh ham ko vaqt milvātā hai kyuuñ
bāzār meñ ḳhud ko tarāzū meñ rakhā
qīmat lagī jo dekh Dar jaatā hai kyuuñ
tera asar mujh mein nazar aata hai kyun
ye soch ke dil aur ghabraata hai kyun
koi na dekhe ashk Thahri aankhon mein
chehra mera itna bhi muskata hai kyun
jab daeron mein hi kaTi hai zindagi
dil qaid se be-baat jhulsata hai kyun
taqdir ne shayad kahani ho likhi
mat puchh hum ko waqt milwata hai kyun
bazar mein KHud ko taraazu mein rakha
qimat lagi jo dekh Dar jata hai kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.