tera chehra na mera husn-e-nazar hai sab kuchh
tera chehra na mera husn-e-nazar hai sab kuchh
Mahtab Haider Naqvi
MORE BYMahtab Haider Naqvi
terā chehra na mirā husn-e-nazar hai sab kuchh
haañ magar dard-e-dil-e-ḳhāk-basar hai sab kuchh
mere ḳhvāboñ se alag mere sarāboñ se judā
is mohabbat meñ koī vahm magar hai sab kuchh
baat to tab hai ki tū bhī ho muqābil mere
jān-e-man phir tirā ḳhanjar mirā sar hai sab kuchh
terī marzī hai ise chāhe to sairāb kare
is bayābāñ ko tirī ek nazar hai sab kuchh
misl-e-mazmūn-e-ġhazal kuchh nahīñ ye hijr o visāl
haañ vahī yaar tarah-dār magar hai sab kuchh
tera chehra na mera husn-e-nazar hai sab kuchh
han magar dard-e-dil-e-KHak-basar hai sab kuchh
mere KHwabon se alag mere sarabon se juda
is mohabbat mein koi wahm magar hai sab kuchh
baat to tab hai ki tu bhi ho muqabil mere
jaan-e-man phir tera KHanjar mera sar hai sab kuchh
teri marzi hai ise chahe to sairab kare
is bayaban ko teri ek nazar hai sab kuchh
misl-e-mazmun-e-ghazal kuchh nahin ye hijr o visal
han wahi yar tarah-dar magar hai sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.