tera chhuna tera na kar de mujhe
terā chhūnā tirā na kar de mujhe
shahr kā mudda'ā na kar de mujhe
baat karte rahā karo mujh se
ḳhāmushī bāvlā na kar de mujhe
mujh ko itne bhī pyaar se na dekh
ye nazar āshnā na kar de mujhe
koī pahle bhī pyaar thā terā
ye adā dūsrā na kar de mujhe
us ko is Dar se bhī sadā nahīñ dī
vo kahīñ an-sunā na kar de mujhe
merī ḳhvāhish hai us ke saath rahūñ
merī qismat judā na kar de mujhe
us ko paane kī chaah bhī 'sāgar'
ek din mubtalā na kar de mujhe
tera chhuna tera na kar de mujhe
shahr ka mudda'a na kar de mujhe
baat karte raha karo mujh se
KHamushi bawla na kar de mujhe
mujh ko itne bhi pyar se na dekh
ye nazar aashna na kar de mujhe
koi pahle bhi pyar tha tera
ye ada dusra na kar de mujhe
us ko is Dar se bhi sada nahin di
wo kahin an-suna na kar de mujhe
meri KHwahish hai us ke sath rahun
meri qismat juda na kar de mujhe
us ko pane ki chah bhi 'sagar'
ek din mubtala na kar de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.