tera diwana liye chaak-e-gareban kab se
terā dīvāna liye chāk-e-garebāñ kab se
phir rahā hai tire kūche meñ pareshāñ kab se
qadr kar va.ada-shikan pās-e-vafā kī kuchh to
kar ke baiThā hai koī jashn-e-charāġhāñ kab se
dekh kar jām-ba-kaf mujh ko hai kyoñ ḳhaufzada
maiñ bulātā huuñ tujhe gardish-e-daurāñ kab se
mere hoñToñ pe hañsī dekh ke ḳhush hai duniyā
kaun samjhegā mirā dil hai pareshāñ kab se
tujh ko ehsās bhī kuchh hai ki nahīñ jān-e-chaman
raah takte haiñ tirī ahl-e-gulistāñ kab se
aap bhī kaash samajhte mirī ġhazloñ kī zabāñ
aap kī bazm meñ 'māhir' hai ġhazal-ḳhvāñ kab se
tera diwana liye chaak-e-gareban kab se
phir raha hai tere kuche mein pareshan kab se
qadr kar wada-shikan pas-e-wafa ki kuchh to
kar ke baiTha hai koi jashn-e-charaghan kab se
dekh kar jam-ba-kaf mujh ko hai kyon KHaufzada
main bulata hun tujhe gardish-e-dauran kab se
mere honTon pe hansi dekh ke KHush hai duniya
kaun samjhega mera dil hai pareshan kab se
tujh ko ehsas bhi kuchh hai ki nahin jaan-e-chaman
rah takte hain teri ahl-e-gulistan kab se
aap bhi kash samajhte meri ghazlon ki zaban
aap ki bazm mein 'mahir' hai ghazal-KHwan kab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.