tera dil bhi mere dil jaisa agar ho jae
terā dil bhī mire dil jaisā agar ho jaa.e
kitnā āsāñ mire jīvan kā safar ho jaa.e
maiñ ne har baar yahī soch ke koshish kī hai
shāyad is baar tirī mujh pe nazar ho jaa.e
us kā va.ada hai vo kal sub.h milegī mujh se
dil ye kartā hai ki jaldī se sahar ho jaa.e
merī hasrat hai use bāhoñ meñ bhar lene kī
kaash ab ke vo jab aa.e to jigar ho jaa.e
vo jahāñ Thahre vahīñ mere liye manzil ho
us ke qadmoñ ke nishāñ mere Dagar ho jaa.e
tera dil bhi mere dil jaisa agar ho jae
kitna aasan mere jiwan ka safar ho jae
main ne har bar yahi soch ke koshish ki hai
shayad is bar teri mujh pe nazar ho jae
us ka wada hai wo kal subh milegi mujh se
dil ye karta hai ki jaldi se sahar ho jae
meri hasrat hai use bahon mein bhar lene ki
kash ab ke wo jab aae to jigar ho jae
wo jahan Thahre wahin mere liye manzil ho
us ke qadmon ke nishan mere Dagar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.