tera ehsas mar gaya shayad
terā ehsās mar gayā shāyad
tū bhī had se guzar gayā shāyad
aql-o-dānish bhaTak ga.e rasta
aur junūñ kaam kar gayā shāyad
jo Darātā thā saarī duniyā ko
apne saa.e se Dar gayā shāyad
ab vo pahlī sī baat ḳhvāb huī
chaḌhtā dariyā utar gayā shāyad
tera ehsas mar gaya shayad
tu bhi had se guzar gaya shayad
aql-o-danish bhaTak gae rasta
aur junun kaam kar gaya shayad
jo Daraata tha sari duniya ko
apne sae se Dar gaya shayad
ab wo pahli si baat KHwab hui
chaDhta dariya utar gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.