tera har gham chura liya hota
terā har ġham churā liyā hotā
kaash merā patā liyā hotā
zindagī dhuup meñ guzārī hai
saa.e meñ hī chhupā liyā hotā
kuchh to kam hote shab ke añdhiyāre
dil kā dīpak jalā liyā hotā
yā samundar kī tah meñ rakh aate
yā bhañvar se bachā liyā hotā
chal diye mere muskurāne par
parda-e-gul haTā liyā hotā
ashk 'bīnā' bikhar hī jaatā hai
tū ne motī banā liyā hotā
tera har gham chura liya hota
kash mera pata liya hota
zindagi dhup mein guzari hai
sae mein hi chhupa liya hota
kuchh to kam hote shab ke andhiyare
dil ka dipak jala liya hota
ya samundar ki tah mein rakh aate
ya bhanwar se bacha liya hota
chal diye mere muskurane par
parda-e-gul haTa liya hota
ashk 'bina' bikhar hi jata hai
tu ne moti bana liya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.