tera hi nishan-e-pa raha hun main
terā hī nishān-e-pā rahā huuñ maiñ
ye pahāḌ jo uThā rahā huuñ maiñ
ek umr kī munāfarat ke baad
ab tujhe samajh meñ aa rahā huuñ maiñ
to udhar se aa jidhar ruke haiñ sab
dūsrī taraf se aa rahā huuñ maiñ
ek pal kabhī to tham mire liye
saarī umr dauḌtā rahā huuñ maiñ
merī nā-rasā.iyoñ kī had hai ye
apne sāmne se aa rahā huuñ maiñ
tera hi nishan-e-pa raha hun main
ye pahaD jo uTha raha hun main
ek umr ki munafarat ke baad
ab tujhe samajh mein aa raha hun main
to udhar se aa jidhar ruke hain sab
dusri taraf se aa raha hun main
ek pal kabhi to tham mere liye
sari umr dauDta raha hun main
meri na-rasaiyon ki had hai ye
apne samne se aa raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.